best video editing apps

5 Best video editing app for youtube without watermark

All Editing Tips

Friends, aaj mai apko kuch aesi apps ke baare mein btaane wala hu jinka use karke aap video ya fir reels editing kar sakte ho . Aapne bahut sari video editing apps dekhi hogi par jyadater apps itni smooth nahi chalti or kuch apps mein to lagg issues bhi aate hai kyuki low-end phone mein vo ache se kaam nahi karte , isliye aaj mai apke liye esi video editing apps leke aaya hu jinka istemal aap saste phone mein bhi kar sakte hai , without watermark.

capcut video editor

CapCut app ka naam to apne suna hoga aaj kal yeh app kafi jyada famous bhi hai. Isme apko vo sari features mil jayegi jo ek perfect video bnane ke liye chahiye. CapCut app ka use karke aap youtube long videos bhi edit kar sakte hai or reels bhi . Iski kuch features ka explanation mainey niche post mein kiya hai or iska download link bhi apko niche mil jayega.

CapCut features:

  • Chroma Keying – Isme apko chroma key feature bhi milega , iska use karke aap video mein kisi bhi ek colour ke background ko remove kar sakte hein.
  • Stickers and Special Effects – Isme apko dher saare satickers or special effects bhi dekhne ko milege jisse video kafi jyada attractive bnayi ja sakti hein.
  • Filters and Transitions – Video ko jodne ke liye aapko isme kafi transition effects bhi mil jayenge or filters bhi mil jayege jinse aap bina mehnat ke video , pics ko color grade kar sakte ho.
  • Cutout – Cutout feature ka use karke aap video ke background ko remove kar sakte hein.
  • Templates – Isme apko kafi saaare pre-made templates mil jayenge jisme apko sirf photos ya video add karni hogi , or aaki video ban jayegi
  • Text effects – Text effects and animations bhi apko mil jayegi jinsa use aap kar sakte ho.
  • Export settings – CapCut mein aap 4k settings with high fps and bit rate bhi upload kar sakte ho.

Download Link:

vn video editor

Vn video editor bhi kafi jyada achi video editing app hein. Yeh app specially low ram phones ke liye bna hai iska matlab aap bina kisi lagg issue ke isme editing kar sakte ho. Isme bhi apko vo sab features mil jayenge jinse aap ek decent video edit kar sakte ho. Iski kuch important feaures ko aap niche post mein dekh sakte hein.

Vn App Features:

  • Vn Codes – Jese dusri kuch video editing apps mein templates hote hein vese hee vn video editor apps mein vn codes hote hein. Inka use karke aap apni video ko bina editing kiye bna sakte ho.
  • Beats – Vn Video editor mein aap music mein beats bhi add kar sakte ho jinka use karke aap pics ko beats ke accouding easily adjust kar sakte ho.
  • Transitions & effects – Isme apko kafi effects and transitions mil jayenge.
  • Filters – Isme aap khud bhi filter bna sakte ho , iske alava apko kafi filters mil jayenge jinse apki video kafi attractive lagegi.
  • Cutout & Chroma – Cutout and chroma ka use karke aap video ka background remove kar sakte ho.
  • Ai captions – Agar aap khud caption likhna pasand nahi karte to aap Ai captions ka use bhi kar sakte ho, Isme apne aap capctions generate ho jayenge.
  • Texts – Text ke bhi apko bahut saare fonts, colors, background , and animation mil jayenge.

Download Link:

power director video editor

Video editing ke liye jitni bhi features chahiye vo sabhi apko isme mil jayegi. Iski help se aap ek achi youtube video edit kar sakte ho, isme apko copyright free music, stock images , videos bhi mil jayegi. Iski kuch features ka explanation niche kiya gya hai.

Power Director Features:

  • User friendly Interface – Isko user karna bahut jyada easy hai, aap asani se apni video ko edit kar sakte ho.
  • Copyright free music – Isme apko copyright free music bhi mil jayenge jinka use aap apni youtube video mein bhi kar satke ho.
  • Transitions & Effects – Isme apko dher saare tansitions bhi mil jayenge jinka use karke aap apni video ko merge kar skate ho use sath hee apko kafi effects bhi mil jayenge jinse apki video kafi attractive ban sakti hai.
  • Export Settings – Isme aap high bit rate and fps me video save kar sakte ho. Isme aap 4k video save bhi kar sakte ho.
  • Text & Satickes – Text and saticker hi isme apko mil jayenge , apni choice ke text effects aap isme bna sakte ho uske sath apko text ke templates bhi mil jayenge.

Download Link:

youcut video editor

Agar aap long videos ko edit karte ho to Youcut app apke liye perfect hai , isme apko vo sabhi features mil jayegi jo ek achi youtube video bnane ke liye chahiye . Isme aap kitni bhi minutes ki video edit kar sakte ho isme apko lagg issues nahi ayenge. Iski kuch important features ko maine niche explain kar diya hai.

Youcut Features:

  • Video speed control – Isme aap video ki speed ko slow ya fast bhi kar sakte ho .
  • Merge videos – Videos ko merge karne ke liye apko isme kafi saare transition effects dekhne ko milenge .
  • No watermark – Bina kisi fikr ke aap watermark free video ko save kar sakte ho.
  • Smooth editing –Long video ko bhi edit kar sakte ho , isme apko lagg issue nahi ayege.
  • Transition & Effects – VIdeo ko edit karne ke liye apko isme effects and transitions bhi mil jayenge.

Download Link:

inshot video editor

Inshot video editin app mein apko offline ke sath sath online features bhi mil jati hai , jinka use karke aap apni video ko attractive and engaging bna sakte ho. Isme bhi apko kafi features mil jayengi jo ek perfect video bnane ke liye jauri hai. Iski kuch important features niche di gyi hai.

  • Effects & Filters – Isme apko sabhi tarah ke filters effects bhi mil jayenge , uske sath hee apko isme effects bhi dekhne ko milenge .
  • Slow motion – Agar aap video ko slow motion bnane chahte ho to isme smooth slow motion ki feature bhi hai jisse aap video ko jitna bhi chaho utna slow speed kar sakte ho.
  • Text and Satickers – Editing ke liye jis bhi type ke text and satickers ki jarurat padti hai vo sabhi apko isme mil jayenge.
  • Easy To Use – Isko istemal karna ekdum simple hai, agar apko video editing karni nahi aati fir bhi aap isme editing kar sakoge .
  • Export settings – Isme aap 4k video quality par bhi save kar sakte ho.

Download Link: